Your Ad Here

Friday 4 December 2009

QAWWALI "Hamen to loot liya mil ke husn walon ne"

Hamen to loot liya mil ke husn walon ne

Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

Nazar mein shokhiyan aur bachpana shararat mein

Adaayen dekh ke hum phans gaye mohabbat mein

Hum apni jaan se jaayenge jinki ulfat mein

Yaqeen hai ke naa aayenge wo hi maiyat mein

Khuda sawal karega agar qayamat mein

To hum bhi kah denge hum lut gaye sharafat mein

Hamen to loot liya mil ke husn walon ne

Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

Wahin wahin pe qayamat ho wo jidhar jayen

Jhuki jhuki hui nazron se kaam kar jayen

Tadapta chor den raste mein aur guzar jayen

Sitam to ye hai ki dil le len aur mukar jayen

Samajh mein kuch nahi ki hum kidhar jayen

Yahi iraada hai ye kah ke hum to mar jayen

Hamen to loot liya mil ke husn walon ne

Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

Wafa ke naam pe maara hai bewafaon ne

Ki dam bhi humko naa lene diya jafaon ne

Khuda bhula diya in husn ke khudaaon ne

Mita ke chor diya ishq ki khataaon ne

Udaaya hosh kabhi zulf ki hawaaon ne

Khyal naaz ne loota kabhi adaaon ne

Hamen to loot liya mil ke husn walon ne

Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

Hazaaron lut gaye nazron ke ik ishaare par

Hazaaron bah gaye toofaan banke dhaare par

Naa inke waadon kaa kuchh theek hai na baaton ka

Fasana hota hai inka hazar raaton ka

Bahut haseen hai waise to bhole pan inka

Bhara hua hai magar zahar se badan inka

Ye jisko kaat len paani wo pee nahi sakta

Dawa to kya hai dua se bhi jee nahi sakta

Inhi ke maare hue ham bhi hain zamane mein

Hai chaar lafz muhabbat ke is fasaane mein

Hamen to loot liya mil ke husn walon ne

Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

Zamana inko samajhta hai nek aur maasoom

Magar ye kaisen hain kya hain kisi ko kya maaloom

Inhen naa teer na talwar ki zaroorat hai

Shikar karne ko kaafi nigahen ulfat hai

Haseen chaal se dil paayemaal karten hain

Nazar se karten hain baaten kamal karten hain

Harek baat mein matlab hazaar hote hain

Ye seedhe saade bade hoshiyar hote hain

Khuda bachaaye haseenon ki tez chaalon se

Pade kisi ka bhi paala na husn waalon se

Hamen to loot liya mil ke husn walon ne

Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne

Husn waalon mein muhabbat ki kami hoti hai

Chaahne waalon ki taqdeer buri hoti hai

Unki baton mein banawat hi banawat dekhi

Sharm aankhon mein nigaahon mein lagawat dekhi

Aag pahle to muhabbat ki laga dete hain

Apne rukhsaar ka deewana bana dete hain

Dosti karke phir anjaan nazar aate hain

Sach to ye hai ki beimaan nazar aate hain

Maut se kam nahi duniya mein muhabbat inki

Zindigi hoti hai barbaad badaulat inki

Din bahaaron mein guzarta hai magar mar mar ke

Lut gaye ham to haseenon pe bharosa karke

Hamen to loot liya mil ke husn walon ne

Kaale kaale balon ne gore gore gaalon ne


2 comments: