jaane vaalon zaraa, mud ke dekho mujhe
ek insaan hoon main tumhaari tarah
jaane vaalon zaraa, mud ke dekho mujhe
ek insaan hoon main tumhaari tarah
jisane sabko rachaa, apane hi roop se
uski pahchaan hoon main tumhaari tarah
jaane vaalon zaraa ...
is anokhe jagat ki main taqdeer hoon -2
main vidhaataa ke haathon ki tasveer hoon
ek tasveer hoon
is jahaan ke liye, dharti maan ke liye
shiv kaa vardaan hoon, main tumhaari tarah
jaane vaalon zaraa...
man ke andar chhipaae
apane suraj se hoon ek bichhadi kiran
ek bichhadi kiran
phir rahaa hoon bhataktaa, main yahaan se vahaan
aur pareshaan hoon, main tumhaari tarah
jaane vaalon zaraa...
mere paas aao chhodo yeh saaraa bharam -2
jo meraa dukh vahi hai tumhaaraa bhi Ghum
hai tumhaaraa bhi Ghum
dekhtaa hoon tumhein, jaantaa hoon tumhein
laakh anjaan hoon, main tumhaari tarah
jaane vaalon zaraa...
No comments:
Post a Comment