Your Ad Here

Friday 4 December 2009

QAWWALI "jo mummy ki ankhon ke taare the hum-tum"

jo mummy ki ankhon ke taare the hum-tum
To daddy ke dil ke sahare the hum-tum
Ke, bada luft tha jab o kunware the hum-tum
Suno ji..bada luft tha jab kunware the hum-tum suno ji ….. suno ji bada lutf tha jab

Main hero thaa kitno ka shaadi se pehle
Tha hangama fitno ka shaadi se pehle
Badi beautiful thi jawani ki ratein
Haseeno se hoti thi rangeeen batein
Mujhe yaad hai aaj tak woh zamana
Haseenon ke jamghat mein picnic manana

Magar ban gayi jab se tu meri dulhan

Meri zindagi ban gayi ek uljhan

Jo shadi hui to baje mere barah

Meri har khushi ho gayi nau-do-gyarah

Teri budhi maa ne kabhi mujh ko danta

Kabhi ban gaya tera baap dil mein kanta

Kabhi jaan ko aa gaye tere bahi

Kabhi teri behno ne ki hathapayi

Aur us par sitam, har baras ek bachcha

Chalo ab mujhi ko chaba jao kachcha

Hua har maza kirkira aashiqi ka

Samajhlo janaza utha zindagi ka

Pareshan ho tum aur main hakka-bakka

Sagai ne humko kahin ka na rakha

Ke chamakte-damakte sitare the hum-tum

Aji, bada lutf tha jab kunware the hum-tum

Suno ji…

Woman Sings:

Na jab tak hui thi meri tum se shaadi

Mein lakhon ke sapno ki thi shahzaadi

Mere aage peeche tahalte the kitne

Jagati thi jaadu, uthati thi fitne

Na behno se darna, na bhaiya se darna

Kai baar din-bhar mein banna-sanwarna
Magar tum ne kuch aisa chakkar chalaya

Mohabbat ke fande mein mujhko fansaya

Kabhi naaz father-mother ka uthaya

Kabhi bhai-behno ko maska lagaya

Garaz tumse dhokha bada khaa gayi main

Tumhari dulhan banke pachta gayi main

Jo kehti hun main laa do hothon ki laali

To kehte ho fauran ke hai jeb khaali

Jo kehti hun main laa do paazeb, kangan

To kehte ho manjho abhi aur bartan

Padi kis muye ke main palle Khudaya!

Koi dil ka armaan nikalne na paaya

The khush jab na ulfat ke maare the hum-tum

Bada lutf tha ai jab kunware the hum-tum

Suno ji….

Man Sings:

Ye ghar ke masail ye bachcho ki jhanjhat

Aur us par wo din raat ki tumse khatpat

Kabhi thak thakthakakar jo daftar se aana

Tumhaare hi kahne par bachche khilaana

Tumhara ye kahna nahi ghar mein aata

Meri iltija mat pakao paratha

Tumhara ye kahna ke munni ke abba

Hua khatm ghar mein jot ha ghee ka dibba

Ho shaitan kit um beti bhooton ki khaala

Mere ghar ka tumne nikala diwala

Meri tumne faishan se lutiya dubodi

Bade hoke bachcho neb hi qabra khodi

Jo aaye bahu aur daamaad tauba

Gazab dhaa gayi unki aulaad tauba

Mere peechhe padte hain wo haath dhokar

Banaya hai poton nawason ne joker

Naa tum banti naani naa main banta nana

Naa ghar banta mere liye jail khaana

Jo shaadi naa hoti to kuchh bhi naa hota

Naa tum mujhko roti naa main tumko rota

Hui bhool humse jo shaadi rachai

Ke khud zindigi apni kadwi banai

Muhabbat ke meethe chhuaare the hum tum e bada lutf tha jab……….

Woman Sings:

Tumhe ghar ka jhanjhat jo lagta hai bhaari

To ban jaate shauhar ke badle madaari

Jo shauhar bane ho to nakhre bhi jhelo

Kaha kisne tha pyar ka khel khelo

Samajhte ho gar tum mujhe apni raani

Main picture chali tum bharo ghar main paani

Agar tum na yun mujhse shaadi rachaate

Bahu ghar main aati na daamaad aate

Jo tumne kiya hai wo bharna padega

Tumhe kaam bachchon ka karna padega

Jo dulha bane ho to phir poonko choolha

Jhulao nawason ka poton kaa jhoola

Mila aisa kanjoos shauhar ke tauba

Yun phoota hai mera muqaddar ke tauba

Tumhare dukhon ne ye haalat banadi

Are kaash main tumse karti na shaadi

Kabhi yun naa hum dono barbaad hote

Main aazaad hoti tum aazaad hote

Kahan is qadar besahare the hum tum e suno ji bada lutf the jab

3 comments:

  1. which films is this from

    ReplyDelete
    Replies
    1. Singers: Yusuf Azad Qawwal & Rasheeda Khatoon,
      Film: Noor-e-Elahi (1976),Music Director: Babloo Dheeraj
      Lyricist:Zafar Gorakhpuri,Qamar Shaad,Qaisar-Ul-Jafri,Bahadur Shah Zafar

      Delete