Your Ad Here

Thursday 31 December 2009

Madhuban khushboo deta hai, saagar saawan deta hai Jeena uska jeena hai, jo auron ko jeewan deta hai Madhuban khushboo deta hai !

Madhuban khushboo deta hai, saagar saawan deta hai
Jeena uska jeena hai, jo auron ko jeewan deta hai
Madhuban khushboo deta hai !
 
Suraj na ban paaye to, banke deepak jalta chal -2
Phool mile ya angaare, sach ki raahon pe chalta chal -2
sach ki raahon pe chalta chal !
Pyaar dilo ko deta hai, ashqo ko daaman deta hai
Jeena uska jeena hai, jo auron ko jeewan deta hai
Madhuban khushboo deta hai !
 
Chalti hai lehraake pawan, ke saans sabhi ki chalti rahe -2
Logon ne tyaag diye jeewan, ke preet dilo mein palti rahe -2
ke preet dilo mein palti rahe !
Dil woh dil hai jo auron ko, apni dhadhkan deta hai
Jeena uska jeena hai, jo auro ko jeewan deta hai
Madhuban khushboo deta hai !

No comments:

Post a Comment